NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Ye baat shaah ne

Nohakhan: Ali Murtaza
Shayar: Shahid Jafer


ye baat shaah ne maqtal may khoon se likh di hai
ragay gulu bhi to khanjar ko kaat deti hai

dayare karbobala se ubhar gayi tauheed
sipaahe kufr ko be aas kar gayi tauheed
bas ek sajde se dil may utar gayi tauheed
hussainiyat wo jo baatil ko maat deti hai
ye baat shaah ne…

uloohiyat se khulaase jamaal adl hai kya
ali ne sab ko sikhaya amaane asl hai kya
koi hussain se pocche misaale adl hai kya
kahenge aamade hurr khud misaal banti hai
ye baat shaah ne…

khuda ka adl nabuwat se aashkaar hua
khuda ka deen nabuwat se ba-bakhaar hua
magar jo kaare nabuwat ka virsadaar hua
hadees e minniyat usko salaam karti hai
ye baat shaah ne…

hidayaton ke tasalsul may ab imamat hai
khaleel teri dua ka sabab imamat hai
so teri nasl may aali nasab imamat hai
wohi to khaab ko tabeer baksh deti hai
ye baat shaah ne…

imame waqt teri muntazir qayamat hai
aur inteqam pe ab muntasir qayamat hai
tu inteqam jo lele to phir qayamat hai
wo inteqam jo har qalb ki tasalli hai
ye baat shaah ne…

chale hussain qayamat utha ke qaime se
qadam uthane ke mushkil may gar qadam na ruke
jigar ko thaam ke ahle haram bahot tadpe
hussain ro diye fizza ne jab dua di hai
ye baat shaah ne…

chali jo taygh hussaini to asr tak na ruki
ye baat taygh ne abbas se kahi hogi
tere hussain ne abbas teri jang ladi
magar ye taygh bhi bas ab niyam honi hai
ye baat shaah ne…

utha ke laashae be-sar ko zainabe nachaar
kaha khuda se ke ye hadya e shahe abraar
qubool karle mohamed ka ye jigar afgaar
ye waada bhi shahid shahe huda ki hai
ye baat shaah ne…

یہ بات شاہ نے مقتل میں خون سے لکھ دی ہے
رگ گلو بھی تو خنجر کو کاٹ دیتی ہے

دیار کربوبلا سے ابھر گیء توحید
سپاہ کفر کو بے آس کر گیء توحید
بس ایک سجدے سے دل میں اتر گئی توحید
حسینیت وہ جو باطل کو مات دیتی ہے
---یہ بات شاہ نے

علوعیت سے خلاصے جمال عدل ہے کیا
علی نے سب کو سکھایا امان اصل ہے کیا
کوی حسین سے پوچھے مثال عدل ہے کیا
کہیں گے آمد حر قد مثال بنتی ہے
---یہ بات شاہ نے

خدا کا عدل نبوت سے آشکار ہوا
خدا کا دین نبوت سے با بہار ہوا
مگر جو کار نبوت کا ورثہ دار ہوا
حدیث منییت اسکو سلام کرتی ہے
---یہ بات شاہ نے

ہدایتوں کے تسلسل میں اب امامت ہے
خلیل تیری دعا کا سبب امامت ہے
سو تیری نسل میں عالی نصب امامت ہے
وہی تو خواب کو تعبیر بخش دیتی ہے
---یہ بات شاہ نے

امام وقت تیری منتظر قیامت ہے
اور انتقام پہ اب منتسر امامت ہے
تو انتقام جو لیتے تو پھر قیامت ہے
وہ انتقام جو ہر قلب کی تسلی ہے
---یہ بات شاہ نے

چلے حسین قیامت اٹھا کے خیمے سے
قدم اٹھانے کے مشکل میں گر قدم نہ رکے
جگر کو تھام کے اہل حرم بہت تڑپے
حسین رودیےء فضہ نے جب دعا دی ہے
---یہ بات شاہ نے

چلی جو تیغ حسینی تو عصر تک نہ رکی
یہ بات تیغ نے عباس سے کہی ہوگی
تیرے حسین نے عباس تیری جنگ لڑی
مگر یہ تیغ بھی بس اب نیام ہونی ہے
---یہ بات شاہ نے

اٹھا کے لاشہء بے سر کو زینب ناچار
کہا خدا سے کہ یہ ہدیہء شہ ابرار
قبول کرلے محمد کا یہ جگر افگار
یہ وعدہ بھی شہید شاہ ہدا کی ہے
---یہ بات شاہ نے