NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Jab alam se koi

Nohakhan: Ali Yazdan
Shayar: Shahid Jafer


jab alam se koi mashkeeza bandha hota hai
kisi bedast ka izhare wafa hota hai

kaise rehwar se girta hai koi be-baazu
gurz ka zakhm bhi jab sar pe laga hota hai
jab alam se koi…

isko lilaah na kholo ke hai pamaal badan
aisa laasha kahin chadar may khula hota hai
jab alam se koi…

shahe deen sirf alam qaimae may laaye honge
ye jo ek shor qayamat ka bapa hota hai
jab alam se koi…

khoon barasta hai fizaon se larazti hai zameen
kundh khanjar se jo sar sheh ka juda hota hai
jab alam se koi…

haye sajjad ke pairon may wo zanjeer-e-garan
aabilon ke liye har kaanta laga hota hai
jab alam se koi…

mashk dikhlake bahate hai zameen par pani
roz ek zulm sakina pe naya hota hai
jab alam se koi…

qalbe akbar se sina gardan e baysheer se teer
khaynche waala shahe karbobala hota hai
jab alam se koi…

ek awaaz haram sunte hai har shab shahid
pase zindan koi noha sada hota hai
jab alam se koi…

جب علم سے کوئی مشکیزہ بندھا ہوتا ہے
کسی بے دست کا اظہار وفا ہوتا ہے

کیسے رہوار سے گرتا ہے کوئی
بے بازو گرز کا زخم بھی جب سر پہ لگا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی

اس کو للہ نہ کھولو کہ ہے پامال بدن
ایسا لاشہ کہیں چادر میں کھلا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی

شاہ دین صرف علم خیمے میں لائیں ہوں گے
یہ جو اک شور قیامت کا بپا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی

خون برستا ہے فضائوں سے لرزتی ہے زمین
کند خنجر سے جو سر شہہ کا جدا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی

ہائے سجاد کے پیروں میں زنجیر گرم
آبلوں کے لئے ہر کانٹہ لگا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی

مشک دکھلا کہ بہاتا ہے زمین پر پانی
روز اک ظلم سکینہ پہ نیا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی

قلب اکبر سے سناں گردن بےشیر سے تیر
کھینچنے والا شہ کربوبلا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی

اک آواز حرم سنتے ہیں ہر شب شہید
پسے زنداں کوئی نوحہ صدا ہوتا ہے
---جب علم سے کوئی