ye aseeri ki hawa kaise chali hai abbas
aaj zainab sar e darbar khadi hai abbas
jin ke waali bhi nahi godh may bacche bhi nahi
ye behan saath unhe le ke chali hai abbas
ye aseeri ki hawa...
ab bhala aur ghareebul watani kya hogi
sar pa chadar nahi aur dhoop kadi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
bujh gaye shaam e ghariban ke wo sholay lekin
dil e zainab may abhi aag lagi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
ek bemaar bhatija hai faqath saath mere
us ke pairon may bhi zanjeer padi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
log sadqe ke khajoorein meri jaanib phaynke
kya yehi martaba e aal e nabi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
lab e sarwar pa chadi maar raha hai zaalim
aur hasrat se behan dekh rahi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
baith kar padti hoo raaton ko namazein bhaiya
ab to meri bhi kamar toot gayi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
ye aseeri hai faqath maqsad e sheh ki khaatir
warna zainab tere saanche may dhali hai abbas
ye aseeri ki hawa...
shaksiyat zainab e muztar ki bayan kya ho bilal
kabhi zehra kabhi sarwar to kabhi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
یہ اسیری کی ہوا کیسے چلی ہے عباس
آج زینب سر دربار کھڑی ہے عباس
جن کے والی بھی نہیں گود میں بچے بھی نہیں
یہ بہن ساتھ انہیں لے کے چلی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
اب بھلا اور غریب الوطنی کیا ہو گی
سر پہ چادر نہیں اور دھوپ کڑی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
بجھ گےء شام غریباں کے وہ شعلے لیکن
دل زینب میں ابھی آگ لگی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
ایک بیمار بھتیجا ہے فقط ساتھ میرے
اس کے پیروں میں بھی زنجیر پڑی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
لوگ صدقے کی کھجوریں میری جانب پھینکے
کیا یہی مرتبہء آل نبی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
لب سرور پہ چھڑی مار رہا ہے ظالم
اور حسرت سے بہن دیکھ رہی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
بیٹھ کر پڑھتی ہوں راتوں کو نمازیں بھیا
اب تو میری بھی کمر ٹوٹ گیء ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
یہ اسیری ہے فقط مقصد شہ کی خاطر
ورنہ زینب تیرے سانچے میں ڈھلی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔
شخصیت زینب مضطر کی بیاں کیا ہو بلال
کبھی زہرا کبھی سرور تو کبھی ہے عباس
یہ اسیری کی ہوا۔۔۔