NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Baitha hai mushkilaat

Nohakhan: Raza Ali Khan
Shayar: Qamar


baitha hai mushkilaat ke raste pe haar ke
o bad-naseeb dekh ali ko pukaar ke

marhab ka qatl bhi koi khyber may qatl tha
phaynka tha zulfeqaar ka sadqa utaar ke
baitha hai mushkilaat...

khyber ke dar ne khul ke ishara ye kar diya
mazhar yehi hai quwwat e parwar digaar ke
baitha hai mushkilaat...

laila ke dil ko dekh rahe hai shahe zaman
akbar ko ran may bheja hai gaysu sawaar ke
baitha hai mushkilaat...

asghar jigar ko thaam ke roti hai fauj e shaam
tum teer khaa ke aaye ho ya teer maar ke
baitha hai mushkilaat...

akbar tumhara baagh e jawani ujad gaya
laila ne chaar din bhi na dekhe bahaar ke
baitha hai mushkilaat...

roo baah jang e aun o mohamed pa kehte thay
ye sher jaane choot gaye kis kachaar ke
baitha hai mushkilaat...

tareekiyan wo shaam e ghariban ki ay qamar
taare bhi so gaye falak e kajmadaar ke
baitha hai mushkilaat...

jaane sawaal kya huwe turbat may ay qamar
chup hogaye thay hum to ali ko pukaar ke
baitha hai mushkilaat...

بیٹھا ہے مشکلات کے رستے پہ حار کے
او بد نصیب دیکھ علی کو پکار کے

مرحب کا قتل بھی کوئی خیبر میں قتل تھا
پھینکا تھا ذوالفقار کا صدقہ اتار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔

خیبر کے در نے کھل کے اشارہ یہ کر دیا
مظہر یہی ہے قوت پروردگار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔

لیلیٰ کے دل کو دیکھ رہے ہیں شہ زمن
اکبر کو رن میں بھیجا ہے گیسوں سوار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔

اصغر جگر کو تھام کے روتی ہے فوج شام
تم تیر کھا کے آے ہو یا تیر مار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔

اکبر تمہارا باغ جوانی اجڑ گیا
لیلیٰ نے چار دن بھی نہ دیکھے بہار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔

رو باہ جنگ عون و محمد پہ کہتے تھے
یہ شیر جانے چھوٹ گےء کس کچار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔

تاریکیاں وہ شام غریباں کی اے قمر
تارے بھی سو گےء فلک کجمدار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔

جانے سوال کیا ہوے تربت میں اے قمر
چپ ہو گےء تھے ہم تو علی کو پکار کے
بیٹھا ہے مشکلات۔۔۔