NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Ata e kibriya hai

Nohakhan: Raza Ali Khan
Shayar: Adeel Zaidi


ata e kibriya hai aur mai hoo
dua e fatema hai aur mai hoo

paa e jibreel e midhat bait e dil ka
dar e aamad khula hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

saf e alfaaz hai kaaghaz qalam hai
ajab ye takhliya hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

nahi ehsaas e tahaai zara bhi
koi dil may basa hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

na sajde se mujhe koi uthaye
yahan mera khuda hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

nahi ehsaas apne gham ka mujhko
khayal e fatema hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

tamanna e nabi ki roshni may
sana e murtaza hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

nazar chaukhat se uth'ti hi nahi hai
dar e mushkil kusha hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

yahin aana hai to phir kyun mai jaaun
yahan khaak e shifa hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

sar e dosh e aqeedat har qadam par
alam abbas ka hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

faraat e jaan hai aur is ke kinare
wafaon ki fiza hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

ye keh kar jhuk gaye sadje may sarwar
mere rab ki raza hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

khuda se kehta tha ye qalb e abid
tera bas aasra hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

nabi kehte thay hyder tumhara
shanasa ek khuda hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

adeel ab aur kya mujhko talab ho
zameen e karbala hai aur mai hoo
ata e kibriya hai...

عطاے کبریا ہے اور میں ہوں
دعائے فاطمہ ہے اور میں ہوں

پاے جبریل مدحت بیت دل کا
در آمد کھلا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

صف الفاظ ہے کاغذ قلم ہے
عجب یہ تلخیاں ہیں اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

نہیں احساس تنہائی زرا بھی
کوئی دل میں بسا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

نہ سجدے سے مجھے کوئی اٹھاے
یہاں میرا خدا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

نہیں احساس اپنے غم کا مجھکو
خیال فاطمہ ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

تمناے نبی کی روشنی میں
ثناے مرتظی ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

نظر چوکھٹ سے اٹھتی ہی نہیں ہے
در مشکل کشاء ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

یہی آنا ہے تو پھر کیوں میں جاؤں
یہاں خاک شفا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

سر دین عقیدت ہر قدم پر
الم عباس کا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

فرات جان ہے اور اسکے کنارے
وفاؤں کی فضا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

یہ کہہ کر جھک گےء سجدے میں سرور
میرے رب کی رضا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

خدا سے کہتا تھا یہ قلب عابد
تیرا بس آسرا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

نبی کہتے تھے حیدر تمہارا
شاہانہ اک خدا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔

عدیل اب اور کیا مجھکو طلب ہے
زمین کربلا ہے اور میں ہوں
عطاے کبریا ہے۔۔۔