NohayOnline

Providing writeups (english & urdu) of urdu nohay, new & old


Ali ke ghar may

Nohakhan: Anj. Masoomeen
Shayar: Anjum Sadiq


ali ke ghar may qayamat ki subha aayi hai
khabar ye khalq ko jibreel ne sunayi hai

kiya hai waar sitamgar ne poori shiddat se
shigaafta hua sar murtaza ka zarbat se
tadap rahe hai ali dard e intehaai hai
ali ke ghar may qayamat ki...

bapa hui hai jo koofe may karbala dekho
ali wali se jo ummat ne ki dagha dekho
imam e waqt se ye kaisi bewafayi hai
ali ke ghar may qayamat ki...

lahoo may tar hai rukh e buturab wavaila
nabi ko khuld may hai izteraab wavaila
gham o alam ki fiza zindagi pe chaayi hai
ali ke ghar may qayamat ki...

hassan hussain hai baba ko dekh kar maghmoom
saron ko peet ke roti hai zainab o kulsoom
shadeed gham hai musibat ye kaisi aayi hai
ali ke ghar may qayamat ki...

asar se zeher ke maula pe hai ghashi taari
wasiyaton ka musalsal hai silsila jaari
ye jaante hai ke bachon se ab judaai hai
ali ke ghar may qayamat ki...

hassan hussain se farma rahe hai ye maula
sitam ke waar se bachna muhaal hai mera
shaqi ne taygh e sitam zeher may bujhayi hai
ali ke ghar may qayamat ki...

isi ke saath hui ibteda e karbobala
baland zainab o kulsoom ki hai aah o buka
ye subha shaam e ghariban ka rang laayi hai
ali ke ghar may qayamat ki...

jahan may koi na aulaad e fatema ka raha
hua jo zulm ke sadiq ujad gaya kunba
ali shaheed huwe ya nabi duhaai hai
ali ke ghar may qayamat ki...

علی کے گھر میں قیامت کی صبح آی ہے
خبر یہ خلق کو جبرییل نے سنائی ہے

کیا ہے وار ستمگر نے پوری شدت سے
شگافتہ ہوا سر مرتضیٰ کا ضربت سے
تڑپ رہے ہیں علی درد انتہائی ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔

بپا ہوی ہے جو کوفے میں کربلا دیکھو
علی ولی سے جو امت نے کی دغا دیکھو
امام وقت سے یہ کیسی بے وفائی ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔

لہو میں تر ہے رخ بوتراب واویلا
نبی کو خلد میں ہے اضطراب واویلا
غم و الم کی فضا زندگی پہ چھای ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔

حسن حسین ہے بابا کو دیکھ کر مغموم
سروں کو پیٹ کے روتی ہے زینب و کلثوم
شہید غم ہے مصیبت یہ کیسی آی ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔

اثر سے زہر کے مولا پہ ہے غشی طاری
وصیتوں کا مسلسل ہے سلسلہ جاری
یہ جانتے ہیں کہ بچوں سے اب جدائی ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔

حسن حسین سے فرما رہے ہیں یہ مولا
ستم کے وار سے بچنا محال ہے میرا
شقی نے تیغ ستم زہر میں بجھای ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔

اسی کے ساتھ ہوی ابتداے کربوبلا
بلند زینب و کلثوم کی ہے آہ و بکا
یہ صبح شام غریباں کا رنگ لای ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔

جہاں میں کوئی نہ اولاد فاطمہ کا رہا
ہوا جو ظلم کے صادق اجڑ گیا کنبہ
علی شہید ہوی یا نبی دہائی ہے
علی کے گھر میں قیامت کی۔۔۔