NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Haye shaame ghariban

Nohakhan: Sajid Jafri
Shayar: Ahmed Naved


jis shaam jalaye gaye sadaat ke qayyaam
guzri nahi wo shaam

paywast hai khanjar ki tarha dil pe wo hangaam
guzri nahi wo shaam

sar ban ke rida ban ke sare noke sina hai
shola hai dhuan hai
hai jo tahe zanjeer tahe tauq tahe naam
guzri nahi wo shaam
jis shaam jalaye gaye...

maqtal ka tawaf ab bhi usi tarha hai jaari
ek zauf hai taari
khola hi nahi waqt ne us shaam ka ehraam
guzri nahi wo shaam
jis shaam jalaye gaye...

jis shaam ki ghurbat ne dukhaya dil e sajjad
rulaya dil e sajjad
zainab ne jise shaam e ghariban ka diya naam
guzri nahi wo shaam
jis shaam jalaye gaye...

ye saare azal saare abad jis may samaye
ab kya kahoo haye
jis may simat aaya hai har aghaaz har anjaam
guzri nahi wo shaam
jis shaam jalaye gaye...

uth'ti hai wohi aandhiya kat jaata hai seena
phat jaata hai seena
har shaam mujhe yaad dilaati hai wohi shaam
guzri nahi wo shaam
jis shaam jalaye gaye...

jis raakh may dil mera naved aah daba hai
aur raakh hua hai
us raakh may reh reh ke bhadakti hai wohi shaam
guzri nahi wo shaam
jis shaam jalaye gaye...

جس شام جلاے گےء سادات کے قیام
گزری نہیں وہ شام

پیوست ہے خنجر کی طرح دل پہ وہ ہنگام
گزری نہیں وہ شام

سر بن کے ردا بن کے سر نوکِ سِناں ہے
شعلہ ہے دھواں ہے
ہے جو تہہ زنجیر تہہ طوقِ تہہ نام
گزری نہیں وہ شام
جس شام جلاے گےء۔۔۔

مقتل کا طواف اب بھی اسی طرح ہے جاری
اک ضعف ہے طاری
کھولا ہی نہیں وقت نے اس شام کے احرام
گزری نہیں وہ شام
جس شام جلاے گےء۔۔۔

جس شام کی غربت نے دکھایا دل سجاد
رلایا دل سجاد
زینب نے جسے شام غریباں کا دیا نام
گزری نہیں وہ شام
جس شام جلاے گےء۔۔۔

یہ سارے اذل سارے ابد جس میں سماے
اب کیا کہوں ہاے
جس میں سمٹ آیا ہے ہر آغاز ہر انجام
گزری نہیں وہ شام
جس شام جلاے گےء۔۔۔

اٹھتی ہے وہی آندھیاں کٹ جاتا ہے سینہ
پھٹ جاتا ہے سینہ
ہر شام مجھے یاد دلاتی ہے وہی شام
گزری نہیں وہ شام
جس شام جلاے گےء۔۔۔

جس راخ میں دل میرا نوید آہ دبا ہے
اور راکھ ہوا ہے
اس راخ میں رہ رہ کے بھڑکتی ہے وہی شام
گزری نہیں وہ شام
جس شام جلاے گےء۔۔۔