NohayOnline

Providing writeups (english & urdu) of urdu nohay, new & old


Karbala ke dasht

Nohakhan: Nasir Asghar Party (SM)
Shayar: Ali Raza


karbala ke dasht may ek la-makaan aabaad hai
noor e haq aur maalik e kaun o makaan aabaad hai

haathon pe asghar ko le kar keh rahe hai ye hussain
ek tabassum se tere ye do jahan aabaad hai
karbala ke dasht may...

aa mere akbar ke mit­'te ja rahe hai naqsh e paa
bas dam e ruqsat ka aankhon may samaa aabaad hai
karbala ke dasht may...

dukhtare zahra tera mamnoon hai deen e khuda
shaam ke har mod pe tera bayan aabaad hai
karbala ke dasht may...

roz e ashoora ke dhalte hi udaasi dekhlo
aaj bhi shaam e ghariban ka dhuan aabaad hai
karbala ke dasht may...

abh raza kuch aur kya maange dar e lajpaal se
dil may jab shabbir ki aah o fughan aabaad hai
karbala ke dasht may...

کربلا کے دشت میں ایک لا مکاں آباد ہے
نور حق اور مالک کون و مکاں آباد ہے

ہاتھوں پہ اصغر کو لے کر کہہ رہے ہیں یہ حسین
اک تبسم سے تیرے یہ دو جہاں آباد ہے
کربلا کے دشت میں۔۔۔

آ میرے اکبر کے مٹتے جا رہے نقش پا
بس دم رخصت کا آنکھوں میں سماں آباد ہے
کربلا کے دشت میں۔۔۔

دختر زہرا تیرا ممنون ہے دین خدا
شام کے ہر موڑ پہ تیرا بیان آباد ہے
کربلا کے دشت میں۔۔۔

روز عاشورہ کے ڈھلتے ہی اداسی دیکھلو
آج بھی شام غریباں کا دھواں آباد ہے
کربلا کے دشت میں۔۔۔

اب رضا کچھ اور کیا مانگے در لجپال سے
دل میں جب شبیر کی آہ و فغاں آباد ہے
کربلا کے دشت میں۔۔۔