NohayOnline

Providing writeups (english & urdu) of urdu nohay, new & old


Hussain farz ada

Nohakhan: Mukhtar Hussain
Shayar: Urooj Bijnori


hussain farz ada kar rahe hai sajde may
yazidiyat ko fana kar rahe hain sajde may

hussain de ke bahattar saron ki qurbani
khuda ka shukr ada kar rahe hai sajde may
hussain farz ada kar rahe...

hayaat deen e mohamed ko ay musalmano
ba waqte asr ata kar rahe hai sajde may
hussain farz ada kar rahe...

zamane waalo ye sabr e hussain to dekho
ke dushmano ka bhala kar rahe hai sajde may
hussain farz ada kar rahe...

layeen ki kund churi chal rahi thi gardan par
magar hussain dua kar rahe hai sajde may
hussain farz ada kar rahe...

ye ummati hai ke pad kar rasool ka kalma
sar e hussain juda kar rahe hai sajde may
hussain farz ada kar rahe...

urooj khoon se apne hussain ibne ali
zameen ko khaake shifa kar rahe hai sajde may
hussain farz ada kar rahe...

حسین فرض ادا کر رہے ہیں سجدے میں
یزیدیت کو فنا کر رہے ہیں سجدے میں

حسین دے کے بہتر سروں کی قربانی
خدا کا شکر ادا کر رہے ہیں سجدے میں
حسین فرض ادا کر رہے ہیں۔۔۔

حیات دین محمد کو اے مسلمانوں
بہ وقت عصر عطا کر رہے ہیں سجدے میں
حسین فرض ادا کر رہے ہیں۔۔۔

زمانے والوں یہ صبر حسین تو دیکھو
کہ دشمنوں کا بھلا کر رہے ہیں سجدے میں
حسین فرض ادا کر رہے ہیں۔۔۔

لعیں کی کند چھری چل رہی تھی گردن پر
مگر حسین دعا کر رہے ہیں سجدے میں
حسین فرض ادا کر رہے ہیں۔۔۔

یہ امتی ہیں کہ پڑھ کر رسول کا کلمہ
سر حسین چدا کر رہے ہیں سجدے میں
حسین فرض ادا کر رہے ہیں۔۔۔

عروج خون سے اپنے حسین ابنِ علی
زمیں کو خاک شفا کر رہے ہیں سجدے میں
حسین فرض ادا کر رہے ہیں۔۔۔