ashoor ka manzar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai aur zainab
ashoor ka manzar hai aur zainab
asbab lut chuka hai qaime bhi jal chuke hai
aur zulm o sitam ki soorat aahon may dhal chuke hai
ek laashaye besar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
bhai ki laash ran may uriyan padi hui hai
aur hamsheer sar barehna be aasra khadi hai
ab sogh ki chadar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
nana ki qabr chooti haye watan bhi choota
tha wo ghar jo fatema ka kal tak basa hua tha
ujda hua wo ghar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
qasim ki laash dekhi akbar ki laash dekhi
aur abbas e ba-wafa ki asghar ki laash dekhi
ab laashaye biradar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
sholay bhadak rahe hai gulzar e panjetan may
ahle haram ke baazu baandhe hai ek rasan may
islam ka lashkar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
phayle huye hai har soo veeraniyo ke saaye
zainab ki ek jaan hai kis kis ka gham uthaye
bemaar hai langar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
koofe ki shahzadi sar par rida nahi hai
ye haal hai ke koi pehchanta nahi hai
darbar e sitamgar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
na mehramo ki nazrein padti hai jab haram par
sharm o haya se zainab bechain har qadam par
har gaam ek nashtar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
mehshar quloose dil se kar zikr panjetan ka
likh apne aansu'on se noha shahe zaman ka
phir tera muqaddar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai…
ashoor ka manzar hai…
عاشور کا منظر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے اور زینب
عاشور کا منظر ہے اور زینب
اسباب لُٹ چُکے ہیں خیمے بھی جل چُکے ہیں
اور ظُلم و ستم کی صورت آہوں میں ڈھل چُکے ہیں
اک لاشِ بے سر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
بھائی کی لاش رن میں عُریاں پڑی ہوئی ہے
اور ہمشیر سر برہنہ بے آسرا کھڑی ہے
اب سوگ کی چادر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
نانا کی قبر چُھوٹی ہائے وطن بھی چُھوٹا
تھا وہ گھر جو فاطمہ کا کل تک بسا ہوا تھا
اُجڑا ہوا وہ گھر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
قاسم کی لاش دیکھی اکبر کی لاش دیکھی
اور عباسِ باوفا کی اصغر کی لاش دیکھی
اب لاشِ برادر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
شُعلے بھڑک رہے ہیںگُلزارِ پنجتن میں
اہلِ حرم کے بازو بندھے ہیں اک رسن میں
اسلام کا لشکر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
پھیلے ہوئے ہیں ہر سو ویرانیوں کے سائے
زینب کی ایک جاں ہے کس کس کا غم اُٹھائے
بیمار ہے لنگر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
کُوفے کی شہزادی سر پر ردا نہیں ہے
یہ حال ہے کہ کوئی پہچانتا نہیں ہے
دربارِ ستمگر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
نامحرموں کی نظریں پڑتی ہیں جب حرم پر
شرم و حیا سے زینب بے چین ہر قدم پر
ہر گام ایک نشتر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔
محشر خلوص دل سے کر ذکر پنجتن کا
لکھ اپنے آنسوؤں سے نوحہ شہ زمن کا
پھر تیرا مقدر ہے اور زینب
کفار کا لشکر ہے ۔۔۔
عاشور کا منظر ہے ۔۔۔