NohayOnline

Providing writeups (english & urdu) of urdu nohay, new & old


Akbar ki azan

Nohakhan: Shareef Hussain
Shayar: Anwar Zahir, Anwar Meerthi


shor tha ashoor ko
haye hussain haye hussain

zehra ki fughan haye hussain
abbas ke baazu haye hussain
asghar ka gala haye hussain
zainab ki rida haye hussain

ashoor ko waqt e asr sada
deta tha manadi khaaliq ka
chinti hai sare zainab se rida
ro ro ke ye kehti hai dukhiya
haye hussain haye hussain

humshakle nabi farzande jawan
wo pyaas may tar wo lehja wo zaban
takbeer may wo andaaz e bayan
ashoor ke din akbar ki azan
haye hussain haye hussain

شور تھا عاشور کو
ہاے حسین ہاے حسین

زہرا کی فغاں ہاے حسین
عباس کے بازو ہاے حسین
اصغر کا گلا ہاے حسین
زینب کی ردا ہاے حسین

عاشور کو وقت عصر صدا
دیتا تھا منادی خالق کا
چھنتی ہے سر زینب سے ردا
رو رو کے یہ کہتی ہے دکھیا
ہاے حسین ہاے حسین

ہم شکل نبی فرزند جواں
وہ پیاس میں تر وہ لہجہ وہ زباں
تکبیر میں وہ انداز بیاں
عاشور کے دن اکبر کی اذاں
ہاے حسین ہاے حسین