mohibbo jaane payambar ki ye sawari iai
hassan ke chote baradar ki ye sawari hai
butool e paak ke dilbar ki ye sawari hai
ke ibne hyder e safdar ki ye sawari hai
hussain kushta e khanjar ki ye sawari hai
adab se qayede se sar jhukaye saath chalo
udake khaak kaho haye sayyade khush khoo
ye chahiye hai ke sar peeto aur girya ho
mila na ghusl o kafan jis ghareeb o bekas ko
usi shaheed ki bekas ki ye sawari hai
hussain ibne ali tashnakaam khasta jigar
jhulaya jhoole may gibreel ne jise aksar
janab e fatema zehra ki jaan noor e nazar
shaheed o bekas o mazloom fidya e daawar
nabi ke deen ke yawar ki ye sawari hai
diya na aab layeeno ne jisko ghurbat may
butool jiske liye peet'ti hai jannat may
khuda ka shukr kiya jisne har musibat may
layeen ne kaata gala jiska haq ki ta'at may
usi ghareeb ki muztar ki ye sawari hai
shaheed ho gaya jo teen roz ka pyasa
libaas le gaye sab loot kar sitam aara
jo zulm ho gaye unko bayan kare koi kya
hua ye qaher ke pamaal ho gaya laasha
hazaar haif usi sarwar ki ye sawari hai
ali bhi fatema bhi thi hussain ki shayda
ye motabar hai rawayet ke roz eid ka tha
libaas bheja khuda ne ye martaba paaya
kiya khush inko bane asht rahmat e wala
sawaar e dosh e payambar ki ye sawari hai
ye wo ghareeb hai jisko mila na ghusl o kafan
raha hai dhoop may be gor jiska zakhmi tan
jo tha butool ka dildaar aur imam e zaman
phiri hai barehna sar karbala may jiski bahen
usi ghareeb usi safdar ki ye sawari hai
محبوں جان پیمبر کی یہ سواری ہے
حسن کے چھوٹے برادر کی یہ سواری ہے
بتولِ پاک کے دلبر کی یہ سواری ہے
کہ ابنِ حیدر صفدر کی یہ سواری ہے
حسین کشتۂ خنجر کی یہ سواری ہے
ادب سے قایدے سے سر جھکائے ساتھ چلو
اڑاکے خاک کہو ہاے سیدہ خوش خو
یہ چاہئے ہے کہ سر پیٹو اور گریہ ہو
ملا نہ غسل و کفن جس غریب بے کس کو
اسی شہید کی بے کس کی یہ سواری ہے
حسین ابنِ علی تشنہ کام خستہ جگر
جھلایا جھولے میں جبریل نے جسے اکثر
جنابِ فاطمہ زہرا کی جان نور نظر
شہید و بے کس و مظلوم فدیہء داور
نبی کے دین کے یاور کی یہ سواری ہے
دیا نہ اب لعینوں نے جس کو غربت میں
بتول جس کے لئے پیٹتی ہے جنت میں
خدا کا شکر کیا جس نے ہر مصیبت میں
لعیں نے کاٹا گلا جس کا حق کی طاعت میں
اسی غریب کی مضطر کی یہ سواری ہے
شہید ہو گیا جو تین روز کا پیاسا
لباس لے گےء سب لوٹ کر ستم آرا
جو ظلم ہو گےء ان کو بیاں کرے کوئی کیا
ہوے یہ قہر کہ پامال ہو گیا لاشہ
ہزار حیف اسی سرور کی یہ سواری ہے
علی بھی فاطمہ بھی تھیں حسین کی شیدا
یہ معتبر ہے روایت کے روز عید کا تھا
لباس بھیجا خدا نے یہ مرتبہ پایا
کیا خوش انکو بنے اشت رحمت والا
سوار دوش پیمبر کی یہ سواری ہے
یہ وہ غریب ہے جس کو ملا نہ غسل و کفن
رہا ہے دھوپ میں بے گور جس کا زخمی تن
جو تھا بتول کا دلدار اور امام زمن
پھری ہے برہنہ سر کربلا میں جس کی بہن
اسی غریب اسی صفدر کی یہ سواری ہے