NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Ye sochta hoo

Reciter: Fateh Ali Khan
Shayar: Zakir Nawab Arif


ye sochta hoo ke abid ka haal kya hoga
aseer hoke wo jab shaam may gaya hoga

suna hai shaam may jaate hi khoon rone laga
na jaane shimr ne us waqt kya kaha hoga
ye sochta hoo...

galay ki tauq ne abid ko kya jhukana tha
wo apne khoye huye laal dhoondta hoga
ye sochta hoo...

wo zulm dekhein hai sajjad ne hussain ke baad
mujhe yaqeen hai ke ab tak bhi ro raha hoga
ye sochta hoo...

wo yaad karta to hoga watan ki shaahi ko
behan ko dafn jo pardes may kiya hoga
ye sochta hoo...

jo ghaur keeje to abid bashar nahi lagta
mere khayaal may dukh dard ka khuda hoga
ye sochta hoo...

یہ سونچتا ہوں کہ عابد کا حال کیا ہوگا
اسیر ہوکے وہ جب شام سے گیا ہوگا

سنا ہے شام میں جاتے ہی خون رونے لگا
نہ جانے شمر نے اس وقت کیا کہا ہوگا
---یہ سونچتا ہوں

گلے کی طوق نے عابد کو کیا جھکانا تھا
وہ اپنے کھوئے ہوئے لال ڈھونڈتا ہوگا
---یہ سونچتا ہوں

وہ ظلم دیکھیں ہیں سجاد نے حسین کے بعد
مجھے یقین ہے اب تک بھی رو رہا ہوگا
---یہ سونچتا ہوں

وہ یاد کرتا تو ہوگا وطن کی شاہی کو
بہن کو دفن جو پردیس میں کیا ہوگا
---یہ سونچتا ہوں

جو غور کیجئے تو عابد بشر نہیں لگتا
میرے خیال میں دکھ درد کا خدا ہوگا
---یہ سونچتا ہوں