jis dam hassan ka zeher se tukde jigar hua
se paara dil ka aahon se zer o zabar hua
sam ka jo rooh e paak pa zaahir asar hua
haal us imam e paak ka is dam digar hua
raahat may farq aur shikam may qalaal pada
kat kar kaleja tasht ke andar nikal pada
bistar pa dard e dil se tadapne lage imam
sadme se sabz hone laga roohe surq faam
chillaye haath se ye kaleje ko thaam thaam
daudo behan ke kaam hamara huwa tamaam
ye kehte kehte zard rukhe paak hogaya
chillate thay ke haye jigar chaak hogaya
daudi janabe zainab e bekas ba-rehna pa
dekha ke laut'te hai bichone pe mujtaba
boli ye sar ko peet ke wo gham ki mubtela
hae hae bahan nisaar ho bhai ye kya hua
kya phir kisi ne zeher dagha se pila diya
kis ne mere kaleje pa khanjar chala diya
takiya laga rahe thay haram jo idhar udhar
baazu ko thaam leti thi koi to koi sar
farmaya laao tasht hua zeher ka asar
reh reh ke koi kaat'ta hai taygh se jigar
badta tha jab ke dard jigar may imam ke
jhukte thay baar baar kaleje ko thaam ke
zainab ne jald laake rakha saamne lagan
haathon se dil pakad ke jhuke sarwar e zaman
aayi jo khay to kaane jauhar bana dahan
almaas khaake laal ugalne lage hassan
range zamroodi ka asar ab ayaan hua
meraj ki hadees ka matlab ayaan hua
farmate thay hassan ke bulao hussain ko
tha dam-ba-dam ye hukm ke lao hussain ko
bhai ka haale zaar sunao hussain ko
tukde mere jigar ke dikhao hussain ko
kehdo ke jald aaiye rehlat ka waqt hai
sun jaye ye kuch aa ke wasiyat ka waqt hai
aaye hussain itne may ba-chashme ashk baar
chillaate thay ke aap ki ghurbat ke mai nisaar
shabbar gale ko choom ke kehte thay baar baar
mai tum pa sadqe ay mere nana ke yaadgaar
mujhse zyada zulm o sitam tum pa hoyenge
ham qabr may tumhari musibat pa royenge
bhaiya tumhari godh may niklega mera dam
tum doge hamko ghusl o kafan jab marenge ham
hoga tumhare paas na koi bajuz alam
qaatil sarhane hoega ya khanjar e sitam
shabbar to baad e marg bhi raahat se soyega
laasha tumhara ghodon se pamaal hoyega
bole katora leke hussain e falak janaab
dekhun to peeke mai bhi ke kis tarha ka hai aab
bhai se lipti daud ke zainab jigar kabaab
pakda hassan ne daste baradar basad shitaab
jaldi se pee na le ye qalaq tha imam par
ek haath tha kaleje pa ek haath jaam par
darde jigar se ghash huwe shaah e falak janaab
ghamgeen to thay hussain hua aur izteraab
haazir thi roohe ahmed o zehra o bu-turaab
wa aasmaan pe hogaye baagh e jinaan ke baab
sar peeto momino ke khaza kar gaye hassan
bin bhai ke hussain huwe mar gaye hassan
barpa tha ahlebait e payambar may shor o shain
behne pachaade khaak pa karti thi kar ke bain
chaati pe haath maar ke chillaate thay hussain
ab uth gaya zamane se hum bekason ka chain
dil ab hamara toot gaya wa musibata
baap aaj hum se choot gaya wa musibata
ek ek ko rokte thay imam e falak sareer
aane lage janaze pa jo us taraf se teer
kaampi zameen hil gaya sadme se charqe peer
nikli lehad se fatema je-be kafan ko cheer
taboot par nawase ke bid'at jo hoti thi
roohe rasoole paak janaze pa roti thi