jo fatema ki rage jaan ali ka hai dilbar hussain minni kahen jisko shafa e mehshar wo jisko kar diya taraaj karbala may ghar musibaton ki hadein khatm hogayi jis par gurohe chaak ghareebon salam karta hai
qayame sheh ka nigehban hussain ka bhai wo jisne ki thi sakina ki ran may saqqayi labe furaat kate haath jiske maut aayi wafa ne jisse jahan may hayaat e nooh paayi gurohe chaak ghareebon salam karta hai
jo quwwate dil e laila tha qubaroo wo jawan wo jisko dekh ke hota tha mustufa ka guman wo jisne aine jawani may khaayi dil pe sina wo jiske byah ka madar ko rehgaya armaan gurohe chaak ghareebon salam karta hai
jo ek raat ka byaha tha qasime zeejah wo jiski mehndi bhi chutne na paayi wo naushah hui ho laash bhi pamaal jiski dasht may aah laga ho jisko gehan karbala ke ban may wo mah gurohe chaak ghareebon salam karta hai
na maa ka doodh na pani mila jise wo sagheer wo jisko dekhke tukde jigar ho wo baysheer wo jisko legaye maidan may hazrate shabbir wo jiska nanha gala aur hurumala ka teer gurohe chaak ghareebon salam karta hai
wo jisko seene pa apne sulate thay sarwar wo jiske kano se tapka lahoo chinay gowhar yateem jaanke todi musibatein jispar rahi aseeron ki jo sham tak shareeke safar gurohe chaak ghareebon salam karta hai
|
|