pukari banu e muztar sakina dafn hoti hai utho ay khasimo akbar sakina dafn hoti hai
kahan ho fatema zahra kalaija katt gaya mera bahu ko thaam lo aakar sakina dafn hoti hai
kafan ke waaste paya badan ka ek phata kurta koee waris nahin sarpar
khuda ke waaste logon mujhe bhi saat dafna do aakeli kya karoon jeekar
ye bachi kumbe waali hai bade nazon ki paali hai mai tanha chod doon kispar
khade kya karte ho logon sab aake fateha padlo mujhe pursa do ror ro kar
|
|