hote hi reha farsh-e-aza mera bichana, meri behna meri behna bhai ka jo paigham hai duniya ko sunana, meri behna meri behna
mai hoo meri tanhai hai aur dasht-e-bala hai maine abhi asghar ka lahoo moo pe mala hai marne ke liye jaata hoo aur khushk gala hai zainab, miljaye jo pani to meri nazr dilaana meri behna meri behna
sab mere asase may abhi aag lagegi baysheer ke jhule may abhi aag lagegi sajjad ke khaime may abhi aag lagegi zainab, bemaar ko jalte hue sholo se bachana meri behna meri behna
ab chain sakina bhi meri pa na sakegi ghairat se koi zakhm bhi dikhlana sakegi karbal ki zameen par usay neendh aa na sakegi zainab, tum us ko kahani mere marne ki sunana meri behna meri behna
jab shaam ke bazaar may jaaogi khule sar barsayega aansu sar-e-abbas-e-dilaawar koi bhi nahi hoga jo dede tumhein chadar zainab, is khaakh bhare chehre ko balo se chipana meri behna meri behna
aayegi bahut narghaye kuffar may ghairat khamoshi se sehlena magar saari musibat gar royi to aajayegi duniya may qayamat zainab, dil thaam ke apna bhare darbaar may jaana meri behna meri behna
yaad aayega zindaan may sakina ko madina hojayega dushwaar usay qaid may jeena jab aane lage maut ka maathe pe pasina zainab, tab meri tarha tum use seene se lagana meri behna meri behna
yasrab ke taraf jaana agar qaid se chutkar nana ko dikhana hai mere khatl ka manzar rakhdena mera khoon bhara ammama lahad par zainab, aur pooch na kya wada wafa hogaya nana meri behna meri behna
ek ujday hue ghar ke azadaar hai dono sajjad se bemaar ke bemaar hai dono bas teri duaaon ke talabgaar hai dono zainab, mushkil se sada nayyar-o-aamir ko bachana
|
|