majboor hoo behna tumhein dafna nahi sakta qaidi hoo sakina mai kafan laa nahi sakta
laasha mai akele hi uthaunga tumhara ghairon se tera laasha mai uthwa nahi sakta
laachaar hai sajjad se kyon rooth gayi tum beemar gohar aapke dilwa nahi sakta
tum khabr may aaraam karo baali sakina mai leke tumhein ya-se wahan jaa nahi sakta
behna inhi kapdo may tumhein dafn karoonga majboor hoon nanha sa kafan laa nahi sakta
abbas chacha aao sakina ko manao mai leke usay aapke paas aa nahi sakta
taboot uthaane ko na akbar hai na abbas mai ehlay watan ko yahan bulwa nahi sakta
mai kaise khabar doo tere marne ki pidar ko wo aa nahi sakte mai wahan jaa nahi sakta
|
|