NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Ghar hogaya nabi

Nohakhan: Irfan Hussain
Shayar: Akhtar Sirsvi


ghar hogaya nabi ka barbaad karbala mein
mardon mein bas bache hai sajjad karbala mein

abbas hai na akbar zainab kise pukaare
maqtal mein bujh gaye hai ghar ke chiraag saare
ranj o alam se dil hai aabaad karbala mein
ghar hogaya nabi ka...

zainab ne kaise dil mein is dard ko chupaya
kis darja saabira thi aansu na ek bahaya
bhai pe kar ke sadqe aulaad karbala mein
ghar hogaya nabi ka...

zainab ko karbala mein kitne ghamon ne loota
saydaniyo ke zewar na mehramon ne loota
kya kya na guzri haye bedaad karbala mein
ghar hogaya nabi ka...

sab cheente thay zaalim bewon ki chadaron ko
hasrat se dekhti thi ahbaab ke saron ko
koi na tha jo sunta faryaad karbala mein
ghar hogaya nabi ka...

maa'on ki godiyan bhi ran mein ujad gayi hai
sehra mein waarison se apne bichad gayi hai
bas rehgayi hai baakhi ek yaad karbala mein
ghar hogaya nabi ka...

baad e hussain akhtar zainab ka tha ye noha
abbas hai na qasim kis ko bulaun baba
aajao tum hi behre imdaad karbala mein
ghar hogaya nabi ka...

گھر ہوگیا نبی کا برباد کربلا میں
مردوں میں بس بچے ہیں سجاد کربلا میں

عباس ہیں نہ اکبر زینب کسے پکارے
مقتل میں بجھ گےء ہیں گھر کے چراغ سارے
رنج و الم سے دل ہے آباد کربلا میں
گھر ہوگیا نبی کا۔۔۔

زینب نے کیسے دل میں اس درد کو چھپایا
کس درجہ صابرہ تھی آنسوں نہ اک بہایا
بھائی پہ کر کے صدقے اولاد کربلا میں
گھر ہوگیا نبی کا۔۔۔

زینب کو کربلا میں کتنے غموں نے لوٹا
سیدانیوں کے زیور نہ محرموں نے لوٹا
کیا کیا نہ گزری ہاے بیداد کربلا میں
گھر ہوگیا نبی کا۔۔۔

سب چھینتے تھے ظالم بیووءں کی چادروں کو
حسرت سے دیکھتی تھی احباب کے سروں کو
کوئی نہ تھا جو سنتا فریاد کربلا میں
گھر ہوگیا نبی کا۔۔۔

ماؤں کی گودیاں بھی رن میں اجڑ گئی ہے
صحرا میں وارثوں سے اپنے بچھڑ گیء ہے
بس رہ گیء ہے باقی اک یاد کربلا میں
گھر ہوگیا نبی کا۔۔۔

بعد حسین اختر زینب کا تھا یہ نوحہ
عباس ہے نہ قاسم کس کو بلاؤں بابا
آجاؤ تم ہی بہر امداد کربلا میں
گھر ہوگیا نبی کا۔۔۔