NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Kehti hai khud

Nohakhan: Mir Rehan Abbas


kehti hai khud amariyan taqreer ke baghair
zainab watan may aayi hai shabbir ke baghair

asghar ke intezar may sughra ko kya khabar
maa karbala se aayi hai baysheer ke baghair
kehti hai khud amariyan...

ummul baneeen sunti hai haal apne laal ka
kyunkar lada layeeno se shamsheer ke baghair
kehti hai khud amariyan...

nana hamari peet pe durro ke ye nishan
khatre kitaabe daur hai tehreer ke baghair
kehti hai khud amariyan...

nana utha janaza meri maa ka raat may
balwe may thi mai chadar o tauqeer ke baghair
kehti hai khud amariyan...

abid tha is tarha thi musalsal ye bediyan
ab paon thar-tharate hai zanjeer ke baghair
kehti hai khud amariyan...

کہتی ہیں قد عماریاں تقریر کے بغیر
زینب وطن میں آی ہے شبیر کے بغیر

اصغر کے انتظار میں صغرا کو کیا خبر
ماں کربلا سے آی ہے بے شیر کے بغیر
---کہتی ہیں قد عماریاں

ام البنین سنتی ہےحال اپنے لال کا
کیونکر لڑا لعینوں سے شمشیر کے بغیر
---کہتی ہیں قد عماریاں

نانا ہماری پیٹ پہ دروں کے ہیں نشاں
خطرے کتاب دور ہے تحریر کے بغیر
---کہتی ہیں قد عماریاں

نانا اٹھا جنازہ میری ماں کا رات میں
بلوے میں تھی میں چادر و توقیر کے بغیر
---کہتی ہیں قد عماریاں

عابد تھا اس طرح تھی مسلسل یہ بیڑیاں
اب پاؤں تھر تھراتے ہیں زنجیر کے بغیر
---کہتی ہیں قد عماریاں