NohayOnline

Providing writeups (english & urdu) of urdu nohay, new & old


Hai karbala ke ban

Nohakhan: Hadi Ali Khan Muslim
Shayar: Akhtar Zaidi


hai karbala ke ban may ghareebon ka arbaeen

shabbir ke mazaar pa zainab ki hai jabeen
aansu baha rahe hai khade abide hazeen
abaad thi hussain ke qadmo se ye zameen
ab haal ye hai sar pa koi saayeba nahi
hai karbala ke…

maajaye pehle aag lagi qaimagah may
har daagh ek taaza qayamat thi raah may
bachi ki hichkiyon ka hai manzar nigah may
zindan e shaam may hai sakina yahan nahi
hai karbala ke…

abbas e naamwar jo haram ka tha pasban
roti thi yaad karke jise saari bibiyan
be-aas jiski laash pa thay shaahe do jahan
laasha kahin tha haath kahin aur alam kahin
hai karbala ke…

bhaiya hamare waade ke taqweel hogayi
aisa safar huwa hai ke sar par rida na thi
darbar e shaam may thi qayamat ki bebasi
roodad e gham sunane ki ab taaqat bhi ab nahi
hai karbala ke…

ehle jahan ko hogi agar haq ki justuju
akhtar asar dikhaega mazloom ka lahoo
hai ghamzada bahan ki yahi ek aarzoo
abaad zayareen se hojaye ye zameen
hai karbala ke…

ہے کربلا کے بن میں غریبوں کا اربعیں

شبیر کے مزار پہ زینب کی ہے جبیں
آنسو بہا رہے ہیں کھڑے عابدِ حزیں
آباد تھی حسین کے قدموں سے یہ زمیں
اب حال یہ ہے سر پہ کوئی سائباں نہیں
ہے کربلا کے ۔۔۔

ماں جائے پہلے آگ لگی خیمہ گاہ میں
ہر داغ اک تازہ قیامت تھی راہ میں
بچی کی ہچکیوں کا ہے منظر نگاہ میں
زندانِ شام میں ہے سکینہ یہاں نہیں
ہے کربلا کے ۔۔۔

عباسِ نامور جو حرم کا تھا پاسباں
روتی تھی یاد کر کے جسے ساری بیبیاں
بس جس کی لاش پہ تھے شاہِ دوجہاں
لاشہ کہیں تھا ہاتھ کہیں اور علم کہیں
ہے کربلا کے ۔۔۔

بھیا ہمارے وعدے کی تکمیل ہو گئی
ایسا سفر ہواہے کے سر پر ردا نہ تھی
دربارِ شام میں تھی قیامت کی بے بسی
رودادِ غم سُنانے کی طاقت بھی اب نہیں
ہے کربلا کے ۔۔۔

اہلِ جہاں کو ہو گی اگر حق کی جستجو
اختر اثر دیکھائے گا مظلوم کا لہو
ہے غمزدہ بہن کی یہی ایک آرزو
آباد زائرین سے ہو جائے یہ زمیں
ہے کربلا کے ۔۔۔