mujhe qaidi samajh nahi shireen
kar ghaur zara mai zainab hoo
tere shehr may dekh ye haal hua
nahi sar pe rida mai zainab hoo
kar yaad wasiyat bhai ki
mehmaan banenge hum tere
pehchan mujhe in baalon se
chehre pe pade hai jo mere
dil gham se phata jaata hai mera
kar koi dawa mai zainab hoo
mujhe qaidi samajh nahi...
jis shehr ki mai shehzadi thi
aayi hoo wahan qaidi ban kar
quran ki tilawat karta hai
wo dekh mere bhai ka sar
pehchan mujhe kya aur kahoo
ab iske siwa mai zainab hoo
mujhe qaidi samajh nahi...
nazron ko utha kar dekh zara
naizon pe shaheedon ke sar hai
bemaar bhatija saath mere
aur ahle haram be-chadar hai
aulaad e ali hone ki yahan
paayi hai saza mai zainab hoo
mujhe qaidi samajh nahi...
shireen kya kya batlaun tujhe
jo zulm sahay hai raahon may
sunti hai yateemon ke naale
kya karb inki aahon may
sehti hoo jafayein ummat ki
be-jurm khata mai zainab hoo
mujhe qaidi samajh nahi...
hum aal e mohamed hai shireen
ye kunba koi aur nahi
tu ghaur se dekhle chehron ko
pairon se tere niklegi zameen
ye hai laila ye bano hai
ye hai farwa mai zainab hoo
mujhe qaidi samajh nahi...
safdar roodad ye zainab ki
sun jar shireen behosh hui
kehti thi peet ke sar apna
hae maut mujhe kyun na aayi
jab mujhse meri aaqa zaadi
zainab ne kaha mai zainab hoo
mujhe qaidi samajh nahi...
مجھے قیدی سمجھ نہیں شیریں
کر غور زرا میں زینب ہوں
تیرے شہر میں دیکھ یہ حال ہوا
نہیں سر پہ ردا میں زینب ہوں
کر یاد وصیت بھای کی
مہمان بنینگے ہم تیرے
پہچان مجھے ان بالوں سے
چہرے پہ پڑے ہیں جو میرے
دل غم سے پھٹا جاتا ہے میرا
کر کوئی دوا میں زینب ہوں
مجھے قیدی سمجھ نہیں۔۔۔
جس شہر کی میں شہزادی تھی
آی ہوں وہاں قیدی بن کر
قرآں کی تلاوت کرتا ہے
وہ دیکھ میرے بھائی کا سر
پہچان مجھے کیا اور کہوں
اب اس کے سوا میں زینب ہوں
مجھے قیدی سمجھ نہیں۔۔۔
نظروں کو اٹھا کر دیکھ زرا
نیزوں پہ شہیدوں کے سر ہیں
بیمار بھتیجا ساتھ میرے
اور اہلِ حرم بے چادر ہیں
اولاد علی ہونے کی یہاں
پای ہے سزا میں زینب ہوں
مجھے قیدی سمجھ نہیں۔۔۔
شیریں کیا کیا بتلاؤں تجھے
جو ظلم سہے ہیں راہوں میں
سنتی ہے یتیموں کے نالے
کیا کرب ہے انکی آہوں میں
سہتی ہوں جفاییں امت کی
بے جرم خطا میں زینب ہوں
مجھے قیدی سمجھ نہیں۔۔۔
ہم آل محمّد ہے شیریں
یہ کنبہ کوئی اور نہیں
تو غور سے دیکھلے چہروں کو
پیروں سے تیرے نکلے گی زمیں
یہ ہے لیلیٰ یہ بانو ہے
یہ ہے فروہ میں زینب ہوں
مجھے قیدی سمجھ نہیں۔۔۔
صفدر روداد یہ زینب کی
سن کر بیہوش ہوی
کہتی تھی پیٹ کے سر اپنا
ہاے موت مجھے کیوں نہ آی
جب مجھ سے میری آقا زادی
زینب نے کہا میں زینب ہوں
مجھے قیدی سمجھ نہیں۔۔۔