NohayOnline

Providing writeups (English & Urdu text) of urdu nohay, new & old

Home Salaam Marsiya

Kufe mein karbala ke

Nohakhan: Mir Hassan Mir
Shayar: Hasnain Akbar


kufe mein karbala ke hai aasaar ya hussain
sher e khuda pe chal gayi talwaar ya hussain

khaak udh rahi hai masjide kufa mein har taraf
phir lut gayi rasool ki sarkar ya hussain
kufe mein karbala ke...

zainab ko dekh dekh ke rote hai murtaza
yaad aa raha hai shaam ka bazaar ya hussain
kufe mein karbala ke...

behno ke ashk pochne waale to aap hai
haye magar sakina ke rukhsaar ya hussain
kufe mein karbala ke...

tehrega tera zarbon pe jaa kar ye silsila
sajde mein aaj pehla hua waar ya hussain
kufe mein karbala ke...

koozon mein sheer aaya to takte thay baar baar
tere labon ko hyder e karraar ya hussain
kufe mein karbala ke...

yaad aa raha hai nazha mein maula ko wo samaa
zainab hai aur koocha o bazaar ya hussain
kufe mein karbala ke...

ab maa ke saath baap ko royengi betiyan
gham aur dega eid ka tehwaar ya hussain
kufe mein karbala ke...

akbar kiya ali ne shahadat se ehtemaam
kufe se chunke apne wafadaar ya hussain
kufe mein karbala ke...

کوفے میں کربلا کے ہیں آثار یا حسین
شیر خدا پہ چل گیء تلوار یا حسین

خاک اڑ رہی ہے مسجد کوفہ میں ہر طرف
پھر لٹ گیء رسول کی سرکار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔

زینب کو دیکھ دیکھ کے روتے ہیں مرتظی
یاد آ رہا ہے شام کا بازار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔

بہنوں کے آشک پوچھنے والے تو آپ ہیں
ہاے مگر سکینہ کے رخسار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔

ٹہرے گا تیرا ذربوں پہ جا کر یہ سلسلہ
سجدے میں آج پہلا ہوا وار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔

کوزوں میں شیر آیا تو تکتے تھے بار بار
تیرے لبوں کو حیدر کرار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔

یاد آ رہا ہے نزع میں مولا کو وہ سماں
زینب ہے اور کوچہء بازار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔

اب ماں کے ساتھ باپ کو روے نگی بیٹیاں
غم اور دے گا عید کا تہوار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔

اکبر کیا علی نے شہادت سے احتمام
کوفے سے چن کے اپنے وفادار یا حسین
کوفے میں کربلا کے۔۔۔